by Saira » Thu Aug 22, 2002 1:21 pm
Bhai Shahed, aapne tu hamare dukhti rag par haath rakh diya hai. In computers ko tu bus offices tak hi mahdood rakhna chahiye tha. Roz mail dekhne jate hain, par barson hogaye hain koi khat nahin aata. Kitna maza aata tha khutut ko bar bar padhne main. Haath se likhe hue khutut padhne ka maza hi kuchh aur hota tha. Ab voh maze khaan, ab tu bas 2 line ka email aajata hai chahe khushi ho ya gham. Kya tameez va tahzeeb se khat shuru hota tha, ab tu bache amman ko khat ki jagah email karte hain \"Hey mom whaz up?\". Tasveeren bhi dekhna ho tu comp ON karke dekhlo phir comp band kardo.Ab agar kisi ko apne chahiton ki tasveeren dikhane ho tu phir vohi comp ON karne ka qissa. Payamat bhi comp ke zariye hi lagte hain. Maze ki baat yeh ke tasveer hi badal jati hai scan karne main. Moti ladki dubli nazar aati hai aur kali ladki, gori. Asal pool tu jab khulta hai jab mulaqat karvai jati hai. Aur agar bechara ladka baghair mile hi shadi par raazi hojata hai tu phir samjhiye ke uski sari ummidon par pani phir gaya. Ab bas nikah email par hona baqi rah gaya hai. Jaise yek zamane main phone par nikah hota tha, aur ladki ko dulhan bana kar aur shauhare namdar ki tasveer haath main pakdva kar jahaz main bitha dete the. voh bechari airport par utar kar har akele admi ko apna dulha samjhti thi aur phir reconfirm karne ke liye tasveer bar bar nikal kar dekhti thi. Ab agar aap online bills ka payment karte ho tu bank yek second main paisa nikal lete hain account se..koi grace period hi nahin hai bhai is zamane main.......yeh tu tha tasveer ka yek ruq.