by hina » Fri May 10, 2002 12:30 am
Aap sub hyderabadiyon say ek guzaarish hai, Hyderabad ki Exhibition ke baaray mein kuch batayein. Mujhe Hyderabad say niklay huay kaafi arsaa ho gayaa hai lekin numaaish ke woh din aaj bhi yaad hain.Saari duniya dekh li lekin na kahin woh maza hai , na kahin woh baat.Woh chaat bhandaar ke chole,woh vijay parlor ki kulfi,ashoka ke samosay ,train ride jis mein baith kar rishtedaaron ko talaash karte aur woh tafreehat ke jhoolay bhulai nahin bhulte!Dil chahta hai ke phir wohi din lowt aayein ,Kaash aaisa ho sakta!Ladies day kaa baychaini say intezaar kartay,lekin suna hai aajkal waisay haalat nahin .Ammi wahaan thi to tafsili qat har cheeze baare mein likhteen , aaisa mujhe mehsoos hota tha ke mein khud un mehfilaat say ho aayi hoon, lekin ab woh yahaan meray paas hain to dil chahta hai ke koi bhi ho wahaan kaa haal suna day.