by betuka shayar » Wed Apr 03, 2002 12:30 am
Jab Sochta hoon main ke zamana kahan ja raha hai,
Mujhe apna pyara hyderabad phir yaad aa raha hai:
Numaish mein shaamein, wohh ladkiyon ko chedna,
Wohh tiggi chalana, phir police se bhedna
st.anns ke saamne wohh ladki patana
kahan kahan hai, wohh hyderabad purana ;
wohh hotel mein jaake paani-kum-chai peena
aur shyaam se savere yoohin baatein karna
phir subah mein abbu se bachna-bachana
kahan hai kahan hai, wohh hyderabad purana ;
Sunday ki shaamein, tank bund pe guzrein
Wohh nikle the hum unse milane nazrein
Aur statues ke peeche mein ishq ladana
Kahan hai kahan hai wohh hyderabad purana ;