by Radha » Tue Jun 04, 2002 12:30 am
Dear Ucchu Bhai,
Yeh ek seedhi si baat hai, agar samajh sako.
Agar tum na hote, to koi aur shaks hota, Wahi hijr hota, Wohi visaal hota.
Woh dard alag sa hota jise hum chupate, kisi aur ki ulfat par dil zaar zaar rota.
Kisi aur ka chehra khwabon mein muskurata, Kisi aur ki nazar par yeh dil nisaar hota.
Kisi aur se mulakat ka yehi anjaam hota, Wahi hijr hota, wohi visaal hota.
Woh kisse kuch alag se hote, Jo hamen hasaate, Woh yaaden farak si hotin, Jinhe soche raat guzarte.
Ek hawa ka jhonka jab humen choo jaata kisi aur ki aahat soche hum aankh moond lete.
Aankhon mein jhalakte khwab kuch alag se , Ashkon se jab ghulte, sab khwab ek ho jaate.
Dil mein bahut hain kone, dil mein ghehraiyan bhi
Jab kisi ko dhoondne nikalte to kisi aur ko mil jaate.
Kisi aur ka haath thame jab hum baagh se guzarte, Raah mein jab tum milte, to ajnabi kehlaate.
Agar tum na milte us shaam achaanak, Hum kisi aur ko sochete phir yehi kalam uthate.
Radha.